Mere gham-gusaar bachcho, mere be-qaraar bachcho
Tumhein sabr de Ilaahii mere sogwaar bachcho
Abhii chand roz se mein tumhein chhorh kar hooN aayii
Yah hai sach tumhare dil ko nahiiN taaqat-e-judaii
Magar ai pyaare bachcho tumhein kya khabar nahiiN hai
Jise jaante ho duniyaa, woh kisii ka ghar nahiiN hai
Woh jahaaN jis meN tum ho, hai faqat sara-e-faani
Na qayaam hai dawaami, na hayaat jaavedaani
NahiiN koii aisii hastii ke jo jaavedaaN rahii hai
Na rahaa kisii ka beta, na kisii kii maaN rahii hai
Jo huaa jahaaN meN paidaa, woh fana zaroor hoga
Jo hai zindaa usko chakhna yah maza zaroor hoga
Pas-e-marg meN ne jaana nahiiN koii cheez mittii
Kiyaa dafn tum ne lekin, too huii azeez mittii
Main abhii wahiiN hooN baaqi, ke ho tum merii nishanii
Mujhe kab hai aour kyooN ho, gham-e-marg-naagihaanii
Merii qabr par ab aa kar jo parho ge faatiha tum
Merii rooh shaad hogii, ho khud is se aashna tum
Dam subah parh ke Quraan, jo karo ge tum duaein
To iram meN gher leingii mujhe rahem kii ghataein
Huii main jahaaN se rukhsat yah barhaa firagh le kar
Ke na aayii pyaare bachcho ! main tumhaara daagh le kar
Jiyo tum jahaaN meN jam-jam, na rahe malaal tum ko
Merii maut ka rahe gaa koii din khayaal tum ko