Shola hai wahi, shamma wahi, maah wahi hai !
Khursheed wahi, noor-e-sahar-gaah wahi hai !
Hoor-o-malak-o-deo-pari ins-o-nabi jaan,
Sab sooraton mein maahi dil-khwaah wahi hai !
Yusuf hai wahi, wo hi Zulekha, wahi Yaqoob,
Kinaan hai wahi, Misr wahi, chaah wahi hai !
Raah-rau hai wahi , raahbar wahi, wo hi raah-e-maqsood,
Gumraah wahi raah se aagaah wahi hai !
Kya husn mein kya ishq mein, sab mein hai wahi noor,
Ye maujib ghamza-sabab aah wahi hai !
Majnoon-o-kharabaati-o-deewana-o-hoshiyaar,
Darwesh-o-gada shah-o-shahanshah wahi hai !
Khaara mein sharar hai wo 'zafar' laal mein rang,
Wallah wahi sab mein hai ba-Allah wahi hai !
Bahadur Shah Zafar