Ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahun
Main tujh ko chhuu sakun to Khudaa jaane kyaa kahun
Lafzo.n se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
Wo gul kahe.n jise mai.n teraa naqsh-e-paa kahun
Ab justajuu hai terii jafaa ke javaaz kii
Jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahun
Sirf is ke liye ke ishq isii kaa zahuur hai
Mai.n tere husn ko bhii sabuut-e-vafaa kahun
Tuu chal diyaa to kitane haqaa_iq badal gaye
Najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diyaa karun
Kyaa jabr hai ke but ko bhii kahanaa pa.De Khudaa
Wo hai Khudaa to mere Khudaa tujh ko kyaa kahun
Jab mere munh me.n merii zuban hai to kyun na main
Jo kuchh kahun yaqii.n se kahun barmalaa kahuun
Kayaa jaane kis safar pe ravan hun azal se mai.n
Har intahaa ko ek na_ii ibtidaa kahun
Ho kyun na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kaa_inaat-e-suKhan kaa Khudaa kahun