Labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaayen
Khudaa kare mere aaNsuu kisii ke kaam aayen
Jo ibtadaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe
Wo bad_nasiib kisii kaa suraaG kyaa paayen
Talaash-e-husn kahaaN le chalii Khudaa jaane
Umang thii ki faqat zindagii ko apanaayen
Bulaa rahe hain ufaq par jo zard-ruu Tiile
Kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaayen
Na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht
Hum aasmaan kaa mukarrar fareb kyun khaayen
Tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas
Labon ko khol kar kuchh sochatii hain miinaayen