Jag main akar idhar udhar dekha
Tu hi aya nazar jidhar dekha
Jan se ho gaye badan khali
Js taraf tune ankh bhar k dekha
Nala fariyad ah aur zari
Ap se ho saka so kar dekha
Un labon ne ki na masihai
Ham ne sau -sau tarah se mar dekha
Zor ashiq mizaj hai koi
"Dard" ko qisa-e-mukhtasar dekha