Apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai
Yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimag hai
Ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch
Dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
Kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
Masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
Jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab
Dil hai k shola hai koi, shama hai ya chirag hai
Paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
Umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
Sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye
Us k khayal-e-zulf se dard kise farag hai ?