Ab shouk se ki jaan se guzar jana chahiye,
bol aye hawa-e shehar kidhar jana chahiye.
Kab tak issi ko aakhiri manzil kahenge hum,
koo-e muraad se bhi udhar jana chahiye.
Woh waqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar,
gehre samundaron mein utar jana chahiye.
Ab rabtgaan ki baat nahin kaarwan ki hai,
jis simt bhi ho gard-e safar jana chahiye.
Kuchh toh suboot-e khoon-e tamanna kahin mile,
hai dil tahi toh aankh ko bhar jana chahiye.
Ya apni khwaahishon ko muqaddas na jaante,
ya khawahishon ke saath hi mar jana chahiye. !!
Ahmes Faraz