Aaina ab juda nahin karta,
qaid mein hun rihaa nahin karta.
Mustaqil sabr mein hai koh-e-giraan,
naqs-e-ibrat sadaa nahin karta.
Rang-e-mehfil badalta rahta hai,
rang koi wafa nahin karta.
Aish-e-duniya ki justajoo mat kar,
ye dafeena mila nahin karta.
Jii mein aaye jo kar guzarta hai,
tu kisi ka keha nahin karta.
Ek waaris humesha hota hai,
takht khaali raha nahin karta.
Ahd-e-insaaf aa raha hai ‘munir
zulm daayam hua nahin karta. !!
Munir Niazi