Zinda rahen toh kya hai jo mar jayen hum toh kya,
duniya se khamoshi se guzar jaayen hum toh kya.
Hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne,
ek khwaab hain jahaan mein bikhar jaayen hum toh kya.
Ab kaun muntazir hai humare liye wahan,
shaam aa gayi hai laut ke ghar jaayen hum toh kya.
Dil ki khalish toh saath rahegi tamaam umar,
dariya-e ghum ke paar utar jaayen hum toh kya. !!
Munir Niazi