Udaas raton mein tez cofee ki talkhion mein
Wo kuch zaida he yad ata he sardion mein
Mujhay ijazat nahi he us ko pukarnay ki
Jo goonjta he laho mein senay ki dharknon mein
Wo bachpan jo udaas rahon mein kho gia tha
Mein dhondta hon usay tuhmari shararton mein
Usay dilasay tu day raha hon magar ye sach he
Kahin koi khauf bharh raha he tasalion mein
Tu apni pooron say janay kia likh gaey thay janaN
Charagh roshan hein abhi meri hathelion mein
Jo tu nehi he tu ye mukammal na ho skein gi
Teri yahi ehmiyat he meri kahanion mein
Mujhay yaqeen he wo tham lay ga bharm rkhay ga
Ye man he tu diay jalanay hein aandhion mein
Har ek mausam mein roshni se bakhertay hein
Tumharay gham k charagh meri udasion mein
?Wasi Shah