Chalo Aik Baar Phir Say Ajnabi Ban Jayen Hum Dono
Na Mein Tum Say Koi Umid Rakhon Dil Nawazi Key
Na Tum Meri Taraf Daikho Ghalat Andaz Nazron Say
Na Merey Dil Key Dharkan Larkharaey Meri Baton Say
Na Zaahir Ho Tumhari Kash-Ma-Kash Ka Raaz Nazron Say
Tumhain Bhi Koi Uljhaan Roktee Hai Paish-Qadmi Say
Mujhey Bhi Log Kehtey Hein Ke Ye Jalwey Paraye Hein
Merey Hum-Rah Bhi Ruswaiyan Hein Merey Mazi Key
Tumharay Sath Bhi Guzri Hoi Raton Ke Sayin Hein
Taaruf Rog Ban Jaye To Us Ka Bholna Behetar
Talluq Bojh Ban Jaye To Us Ka Torna Achcha
Woh Afsana Jisay Anjaam Tak Lana Na-Mumkin Ho
Use Aik Khubsoorat Mor De Kar Chorna Achcha
Chalo Aik Baar Phir Say Ajnabi Ban Jayein Hum Dono