Iss taraf se guzre the qaafile bahaaron ke,
Aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaaron ke.
Khalwaton ke shaidaai khalwaton mein khulte hain,
Hum se poochh kar dekho raaz parda-daaron ke.
Gesuon ki chhanv mein dil-nawaaz chehre hain,
Ya haseen dhundalkon mein phool hain bahaaron ke.
Pehle hans ke milte hain phir nazar churaate hain,
Aashna-sifat hain log ajnabi dayaaron ke.
Tum ne sirf chaha hai hum ne chhoo ke dekhe hain,
Pairahan ghataaon ke jism barq-paaron ke.
Shughl-e-mayy-parasti go jashn-e-namuraadi tha,
Yun bhi kat gaye kuchh din tere sogwaaron ke. !!
(Sahir Ludhianvi)