Lab pe paabandi toh hai ehsaas par pehra toh hai,
phir bhi ahl-e-dil ko ahwaal-e-bashar kehna toh hai.
Khoon-e-aada se na ho khoon-e-shaheedon hi se ho,
kuchh na kuchh iss daur mein rang-e-chaman nikhra toh hai.
Apni ghairat bech daalen apna maslak chhod den,
rahnumaaon mein bhi kuchh logon ka ye mansha toh hai.
Hai jinhen sab se zyada daava-e-hubbul-watan,
aaj un ki wajah se hubb-e-watan ruswa toh hai.
Bujh rahe hain ek ek kar ke aqeedon ke diye,
iss andhere ka bhi lekin saamna karna toh hai.
Jhooth kyon bolen farogh-e-maslahat ke naam par,
zindagi pyaari sahi lekin humen marna toh hai. !!
( Sahir Ludhianvi)