Hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
Mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin
Main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
Main wo sahil hun jise koi sada yad nahin
Main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
Ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin
Kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
Kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin
Sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
Kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin
Zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
Jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin
Ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
Kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin