Qurb-e-jaanan ka na maikhaane ka mausam aaya
Phir se be-sarfaa ujaR jaane ka mausam aaya
Kunj-e-Ghurbat men kabhi gosha-e-zandan men the hum
Jaan-e-jaan jab bhi tere aane ka mausam aaya
Ab lahu rone ki khaahish, na lahu hone ki
Dil-e-zinda tere marjaane ka mausam aaya
Koocha-e-yaar se har fasl mein guzre hain magar
Shaayad ab jaan se guzar jaane ka mausam aaya
Koi zanjeer koi harf-e-khirad le aaya
Fasl-e-gul aayi k diivaane ka mausam aaya
Sail-e-khun shahr ki galiyon men dar aya hai Faraz
Aur too khush hai k ghar jaane ka mausam aaya