Chara gar haar gaya ho jaise
Ab to marna hi dawa ho jaise
Mujh se bichra tha woh pehle bhi magar
Ab ke yeh zakham naya ho jaise
Mere mathe pe tere pyar ka hath
Ruh par dast e saba ho jaise
Yun buhat hans ke mila tha lekin
Dil hi dil mein woh khafa ho jaise
Sar chupayein to badan khulta hai
Zeest muflis ki rida ho jaise