Ret se But na Bana aye mere Ache Funkar
Aik Lamhe ko Thehar mein tujh ko Pathar la don
Mein tere Samne Anbar laga don
Lekin kon se Rung ka Pathar tere Kaam aaye ga
Surkhi Pathar jise Dil Kehti hai be Dil Dunya
Ye woh Pathrayi huyi Aankh ka Nila Pathar
Jis mein Sadyon ke Teheer ke Pare hon dore
Ya tujhe Ruh ke Pathar ki Zaroorat hogi
Jis peh Haq baat bhi Pathar ki Tarah Girti hai
Ik woh Pathar hai Jise kehte hain Tehzeeb e Sufaid
Us ke Mar Mar mein Siyah Khoon Jhalakta hai
Aik Insaf ka Pathar bhi to hota hai
Magar hath mein Tisha zar ho to woh hath aata hai
Jitne meiyar hain is dor ke sab Pathar hain
Jetne Afkar hain is dor ke Sab Pathar hain
Sher bhi, Raqs bhi Tsweer o Hina bhi Pathar hain
Mera Alham, Tera Zehan e Rasa bhi Pathar hai
is Zamane mein to har Fun ka Nishan Pathar hai
Hath Pathar hain tere, Meri Zuban Pathar hai
Ret se but na Bana Aye mere Ache Funkar
(AHMED NADEEM QAZMI)