Mot o Hayat ka Mqsad kia hai, Aakhir kuch Maloom to ho
Lafz to hain sdyon ke purane, in ka koi Mfhoom to ho
Chahe Farishton ki boli ho, Maine bharna Mera Kaam
Loh e Moqaddar par lekin ik Harf Kahin Marqoom to ho
Sot o sada par Pabndi Tkmeel nahi Khamoshi ki
Sanson ki Aawaz bhi roko, Sannate ki Dhoom to ho
Is ke Qdmon par Barsain gay Naslon ki Tehseen ke Phool
Shayar is se Qabal magar Ghalib ki tarah Marhoom to ho.
(AHMED NADEEM QAZMI)