Tahri hue ankhon main judae ke ghari hai
shab akhri taiba ki mere sir pe khari hai
ik saa'at e bedar ha maqsoome nazer ka
doorie main tarapne kay leya umer pari hai
kya arz o guzarish hai kay milte nahi alfaz
dunya e tamana hai jo hunton pe ari hai
Aate huwe kiya sehal madine ka safar tha
jate hain to ak ak qadam rah kari hai
Rota hue saman e safar bandh rha houn
Mahsoos yeh hota hai qayamat ki ghari hai
Lota hai Madine se Riyaz apna Baden bhi
Jo Ruh'oh hai wo ab bhi mavaja pe khari hai