Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
Auron pe hai wo zulm k mujh par na hua tha
Chora mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne
Khurshid hanoz us k barabar na hua tha
Taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
Ankhon main hai wo qatra k gauhar na hua tha
Jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka alam
Main motaqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
Main sada dil azurdagi-e-yar se khush hun
Yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
Dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
Mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
Jari thi asad dag-e-jigar se mere tahsil
Atashqada jagir-e-samandar na hua tha
(MIRZA GHALIB)