Phair lete hain nazar jis waqat beete aur bahu
Ajnabi aapne hi ghar main haii! bun jati hai MAA
Humne ye bhi tou nahi socha aalagh hone ke baad
Jub diya hi nahi kuch hum ne tou kiya khati hai MAA
Zaabt tou deakho ke itni be rukhi ke baad
Baddua deti hai hargiz aur na pachtati hai MAA
Saal bhar main ya kabhi haftee main jumairaat ko
Zindagi bhar ka sila aik FATEHA pati hai MAA
Isne dunya ko diye masoom rehbar isliye
Azmatoon main sani quran kehlati hai MAA
Baad marjane ke phir beete ki khidmaat ke liye
Bhais baiti ka baadal kar ghar mai aajati hai MAA