Kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
Ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai
Yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain
Tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai
Bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan
Sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai
Han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye
Har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai
Ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane
Pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai
Ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan
Yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai