Main pal do pal ka shayar hun

Main pal do pal ka shayar hun

Pal do pal meri kahani hay

Pal do pal meri hasti hay

Pal do pal meri jawani hay

 

Mujhse pehle kitne shayar

Aaye aur aakar chale gaye

Kuch aahein bhar kar layout gaye

 kuch nagmein gaa kar chale gaye

Woh bhi ek pal ka kissa they

 

Main bhi ek pal ka kissa hoon

Kal tumse juda ho jaon ga

Jo aaj tumhara hissa hoon

Main pal do pal ka shayar hoon

 

Kal aur aaein gay naghmoon ki

Khilti kaliyan chune waly

Mujhse behtar kehne waly

 

Tum se behtar sunne waly

Kal mujh ko koi yaad kare

Kyun mujh ko koi yaad kare

Masroof zamana mere liye

Kyun waqt apna barbaad kare

 

Main pal do pal ka shayar hoon

Pal do pal meri jawani hay

Related Posts

Share this page:

0 Comments

Write a Comment

Your email address will not be published.
Required fields are marked *