Mein Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamanna Ki Thi
Mujh Ko Raton Ki Siyahi Ke Sewa Kuch Na Mila
Mein Woh Naghma Hon Jise Pyar Ki Mehfil Na Mili
Woh Musafir Hon Jise Koi Bhi Manzil Na Mili
Zakham Paein Hein, Baharon Ki Tamanna Ki Thi
Mein Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamanna Ki Thi
Ksi Geson Ksi Aanchal Ka Sahara He Nahi!
Raste Mein Koi Dhundla Sa Sitara He Nahi
Meri Nazron Ne Nazaron Ki Tamanna Kit Hi
Mein Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamanna Ki Thi
Dil Mein Na-Kam Umedon Ke Baserein Paein
Roshni Lene Ko Nikla To Andhere Paein
Rung Aur Noor Ke Dharon Ki Tamanna Kit Hi
Mein Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamanna Ki Thi
Jo Baat Tujh Mein Hai Teri Tasveer Mein Nahi
Rango Mein Tera Aks Dhala Na Tu Dhal Saki
Sanson Ki Aanch Jism Ki Khushbo Na Dhal Saki
Tujh Mein Jo Loch Hai Meri Tehrer Mein Nahi
Be-Jan Husn Mein Kahan Raftar Ki Ada
Inkar Ki Ada Hai Na Iqrar Ki Ada
Koi Lachak Bhi Zulf-E-Gara Geer Mein Nahi
Duniya Mein Koi Cheez Nahi Hai Teri Tarha
Pher Ek Baar Aaja Samne Ksi Tarha
Kya Aik Aur Jhalak Meri Taqdeer Mein Nahi