Dekha hai zindagi ko kuch itna kar-ii-b say
Chehre tamaam lagne lage hain aj-ii-b say
Es rengti hayaat ka kab tak uthain baar
Bimaar ab ulhajne lage hain tab-ii-b say
Har gaam par hai majmaa-e-ush-shaaq muntazir
Maqtal ki raah milti hai ko-e-habib say
Es tarah zindagi ne diya hai hamara sath
Jaisay koi nibaah raha ho raq-ii-b say
Aey rooh-e-asar jaag, kahan so rahi hai tu
Aawaz dey rahe hain payambar sal-ii-b say