Tou Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apna Hay
Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apna Hay
Mile Koi Bhi Teraa Zikr Cheer Dete Hein
Ke Jaise Saaraa Jahaan Raazdaar Apna Hay
Wo Duur Ho To Bajaa Tark-E-Dosti Kaa Khayaal
Wo Saamane Ho To Kab Ikhtiyaar Apna Hay
Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Liyaa Dil Se
Is Aasare Pe Ke Ik Gamgusaar Apna Hay
‘Faraz’ Raahat-E-Jaan Bhi Vahi Hay Kyaa Kije
Wo Jis Ke Haath Se Sinaafigaar Apna Hay
.::AHMED FARAZ::.