Jhapatna Palatna Palat Kar Jhapatna
Lahoo Garm Rakhne Ka Hai Ek Bahana
Kiya Maine Es Khak-Daan Se Kinara
Jahan Rizq Ka Naam Hai Aab-O-Daana
Baya-Ban Ki Khalwat Khush Aati Hai Mujh Ko
Azal Se Hai Fitrat Meri Rah-Bana
Na Baad Bahari, Na Gulchein, Na Bulbul
Na Bimari Naghma-E-Aashiqana
Khaya-Baniyo Se Hai Parhez Lazim
Adaein Hein In Ki Bohat Dil-Barana
Hawaein Bayaban Se Hoti Hai Kari
Jawan Mard Ki Zarbat Ghaziyana
Hamam-O-Kabotar Ka Bhoka Nahi Main
Ke Hai Zindagi Baaz Ki Zahdana
Jhapatna Palatna Palat Kar Jhapatna
Lahoo Garm Rakhne Ka Hai Ek Bahana
Ye Europe Yeh Pachhim Chakoron Ki Duniya
Mera Nelgo Aasman Be-Karana
Parindon Ki Duniya Ka Darwesh Hon Mein
Ke Shaheen Banata Nahi Aashyana