Watan ko hum azeem se azeem tar banayein gay
Hum apne mulk ka waqar roz o shab barhayein gay
Rachi hai har nigah mein baqi hai har kheyal mein
Jo roshni hai parcham sitara o hilal mein
Isi ke noor se har ik chiragh hum jalayein gay
Watan ko hum azeem se azeem tar banayein gay
Mah o najoom ki siftein qareeb hon gi aik din
Kholaon ki bulandiyan nasib hon gi aik din
Hamare raste mein bhi sitaray jag magayein gay
Watan ko hum azeem se azeem tar banayein gay
Muhabbaton ki rah mein bas ittehad chahiye
Hazar mushkilein sahi bas aitmaad chahiye
Hamare zarb e azm se pahar toot jayein gay
Watan ko hum azeem se azeem tar banayein gay