Rah teri hai shajar teray hain ghar tera hai
Mein musafir hon mera rukhat-e-safar tera hai
Juz teray qaryah aalam nahi jachta koi
Aankh meri hi sahi meiyar nazar tera hai
Meray peroh peh jo mehkay who sab rung teray
Meri shakhon peh jo aaya hai samar, tera hai
Meray sinay mein jo roshan hai who mashal teri
Meray shanon peh jo rakha hai yeh sar, tera hai
Mein who shair jo kisi kay bhi asar mein na raha
Meri taameer teri mujh peh asar, tera hai
Mein teri khak peh itrata hua phirta hon
Aib meray hain mera sara hunar tera hai
Aye watan yeh jo teri dhul mein lipta hai saleem
Kaj kalahon mein yahi khak basar tera hai