Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Pak tera watan pak tari zameen
Chaand taray se roshan tari jabeen
Shaam rungeen tari subha tari haseen
Tujh peh qurbaan hum pasbaan-e- watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Tari sarhad kay baito’n se izzat tari
Tari blochio’n se hai hurmat tari
Tari aazaadi kay farzand azmat tari
Khoon se jo likh daastan-e-watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan
Zulf-e-bangal tujhko sanwaraingay hum
Arz-e-sehra’n tujh ko nikharain gay hum
Jaan ka sadqa apni utarain gay hum
Aur mahkaingay gulistan-e-watan
Aye zameen-e-watan asmaan-e-watan..::