Aye watan kay sajilay jawano!
Meray naghmay tumhare liye hain
Sarfaroshi hai iman tumhara
Jurraton kay parestar ho tum
Jo hifazat karay sarhadon ki
woh falak bus de deewar ho tum
aye shujaut kay zindah nishano
meray naghmay tumharay liye hain
biwiyon, maayon, behnon ki nazrain
tum ko dekhain to yun jagmaga’yain
jaise khamoshyon ki zuban se
day rahi hon woh tum ko duayain
qom kay aye jurri pasbano
meray naghmay tumharay liye hain
tum peh jo kuch likha shaairon ne
is mein shamil hai aawaz meri
ur kay poncho gay tum jis ufaq par
sath jaye gi parwaz meri
chand taron kay aye pasbano!
Meray naghmay tumharay liye hain
Aye watan kay sajilay jawano!
Meray naghmay tumharay liye hain..::