

Mujhey Khat Mila Hai Ghanim Ka
Bardi Ujlatoon Mein, Likha Howa
Kahin Ranjashoon Ki Kahaniyan
Kahin Dhamkion Ka Hai Silsila
Mujhe Keh Diya Hai Ameer Ne
Karo Husn-e-Yaar Ka Tazkara
Tumhe Kya Pari Hai Ke Raat Din
Kaho Hakemon Ko B?ura Bhala
Tumhe Fikr-e-Umar Aziz Hai
To Nah Hakemon Ko Khafa Karo
Jo Ameer-e-Shehar Kahey Tumhey
Wohi Shairi Mein Kaha Karo
Koi Waardaat Ke Din Ki Ho
Koi Saaniha Kisi Raat Ho
Nah Ameer-e-Shehar Ka Ziker Ho
Nah Ghanim-e-Waqt Ki Baat Ho
Kahin Taar Taar Houn Asmatain
Meray Doston Ko Nah Dosh Do
Jo Kahein Ho Daaka Zani Agar
To Nah Kotwaal Ka Naam Lau
Kisi Taak Mein Hain Lagey Huaye
Merey Jaan Nisar Gali Gali
Hain Merey Isharay Ke Muntazir
Merey Askari Merey Lashkari
Jo Tumharay Jaisay Jawan They
Kabhi Merey Agay Ru?ke Nahi
Inhein Is Jahan Say Uttah Di?ya
Woh Jo Merey Agay Jhooke Nahi
Jinhein Maal-O-Jaan Aziz They
Woh To Merey Dar Say Pi?ghal Gaye
Jo Tumhari Tarhan Uthey Bhi To
Unhein Bomb Ke Sholay Nigal Gaye
Merey Jaan Nisaron Ko Hukum Hai
Ke Gali Gali Yeh Payam Dein
Jo Ameer-e-Shehar Ka Hukum Hai
Bina Aiteraaz Woh Maan Lein
Jo Mere Mafaad Ke Haq Mein Hain
Wohi Adliya Mein Raha Karein
Mujhey Jo Bhi Dil Say Qubool Hon
Sabhi Faislay Woh Howa Karein
Jinhein Mujh say Kuch Nahi Vaastaa
Inhein Apney Haal Pay Choor Do
Woh Jo Sar-Kashi Ke Hon Murtakib
Inhein Gardanon Say Maror Do
Woh Jo Bay Zameer Hain Shehar Mein
Unhein Zar Ka Sikka Uuchaal Do
Jinhein Apney Darsh Aziz Hon
Unhein kaal Kothrhi Mein Daal Do
Jo Mera Khateeb Kahey Tumhey
Wohi Asal Hai Esay Maan Lau
Jo Mera Imam Bayan Kerey
Wohi Deen Hai Sabhi Jaan Lau
Jo Ghareeb Hain Merey Shehar Mein
Inhein Bhook Piyaas Ki Maar Do
Koi Apna Haq Jo Talabb Kerey
To Usay Zameen Mein Utaar Do
Jo Merey Habib-O-Rafeeq Hain
Inhein Khob Maal-O-Minal Do
Jo Mere Khilaaf Hain Boltay
Inhein Nokari Se Nikaal Do
Jo Hain Bay Khatta Wohi Dar-Ba-dar
Yeh Ajeeb Traz?-e-Nisaab Hai
Jo Gunah Karein Wohi Muatebar
Yeh Ajeeb Roz?-e-Hisaab Hai
Yeh Ajeeb Ruut Hai Bahaar Ki
Ke Har Ek Zair-e-Ataab Hai
Kahin Par Shikasta Hai Fakhta
Kahin Zakham Zakham Gulaab Hai
Merey Dushmanon Ko Jawab Hai
Nahi Ghasibon Pay Shafeeq Mein
Merey Hakemon Ko Khabar Karo
Nahi Aamron Ka Rafeeq Mein
Mujhey Zindagi Ki Hawas Nahi
Mujhe Khof-e- Merg Nahi Zara
Mera Harf Harf Lahoo Lahoo
Mera Lafz Lafz Hai Aabla.